شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी
Couplets by Shaikh Ibrahim Zauq (منتخب اشعار)
Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.
Explore by Theme
14 Couplets available
All Themes (تمام موضوعات)
Love (Ishq)
(عشق و محبت)
Pain & Sorrow (Dard)
(درد و غم)
Philosophy & Life (Zindagi)
(زندگی و فلسفہ)
Separation (Hijr)
(ہجر و جدائی)
Beauty & Beloved (Husn)
(حسن و محبوب)
Sufism & Mysticism (Tasawwuf)
(تصوف و روحانیت)
Revolution & Hope (Inqilab)
(انقلاب و امید)
Solitude (Tanhai)
(تنہائی)
Selfhood & Pride (Khudi)
(خودی و غیرت)
Tavern & Wine (Sharab)
(مے و مے خانہ)
#ishq
شعر
Phir khula zakhm ka angoor mubaarak ai Zauq
dil-e-zakhmi ko tere baada-e-ishrat ke maze
#ishq
شعر
Be-mizaaji ko karein laakh tere zulm-o-sitam
bhoolne ke nahin sehli woh inaayat ke maze
#ishq
شعر
Khabar-e-naaz ne kya chaat lagaai dil ko
chaatta hont hai le le ke jaraahat ke maze
#ishq
شعر
Zaa'iqa-e-chaashni-e-ishq ka kaamil ho to dein
shaadi-e-vasl ki lazzat gham-e-furqat ke maze
#ishq
شعر
Kuchh bataaun jo mohabbat to gile hai ke mujhe
dekh to kaise chakhaata hoon mohabbat ke maze
#ishq
شعر
Jaan-e-sheerein bhi gayi aur na mili sheerein bhi
poochh fariyaad se is talkhi-e-hasrat ke maze
#ishq
شعر
Dekh kar us ko gaya aalam-e-hairat mein to main
lek main kya kahoon us aalam-e-hairat ke maze
#ishq
شعر
Khaaye kooche mein tere aa ke jo sang-e-tiflaan
aaye Majnoon ko tere mewa-e-jannat ke maze
#ishq
شعر
Be-mohabbat nahin ai Zauq shikaayat ke maze
be-shikaayat nahin ai Zauq mohabbat ke maze
#zindagi
شعر
Behtar to hai yehi ke na duniya se dil lage
Par kya karen jo kaam na be-dillagi chale
#zindagi
شعر
In dinon garche dakan mein hai baDi qadr-e-sukhan
Kaun jaae 'Zauq' par dilli ki galiyan chhoD kar
#zindagi
شعر
Na hua par na hua 'Meer' ka andaaz naseeb
'Zauq' yaaron ne bahut zor ghazal mein maara
#dard
شعر
Ab to ghabra ke ye kehte hain ki mar jaaenge
Mar ke bhi chain na paaya to kidhar jaaenge
#zindagi
شعر
Laai hayat aaye qaza le chali chale
Apni khushi na aaye na apni khushi chale