شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#tanhai شعر
Dil-bastagi qafas se yahan tak hui mujhe
Goya kabhi chaman mein mera aashiyan na tha
#dard شعر
Kab dard se dil ko tab aaya
Aankhon mein kahan se KHwab aaya
#zindagi شعر
Mujh se jo puchhte ho to har haal shukr hai
Yun bhi guzar gai meri wun bhi guzar gai
#zindagi شعر
Ai shaiKH agar kufr se islam juda hai
Pas chahiye tasbih mein zunnar na hota
#ishq شعر
Aalam mein agar ishq ka bazar na hota
Koi kisi bande ka KHridar na hota
#dard شعر
Nahin bachta hai bimar-e-mohabbat
Suna hai hum ne 'Goya' ki zabani
#ishq شعر
Na hoga koi mujh sa mahw-e-tasawwur
Jise dekhta hun samajhta hun tu hai
#zindagi شعر
Apne siwa nahin hai koi apna aashna
Dariya ki tarah aap hain apne kanar mein
#dard شعر
Bijli chamki to abr roya
Yaad aa gai kya hansi kisi ki
#ishq شعر
nahiin chaltaa har kuchh apnaa to tere ishq ke aage
hamaare dil pe koii aur to dar ho nahiin saktaa
#zindagi شعر
kare kyaa faaida naa-chiiz ko taqliid achhon kii
ke ham jaane se kuchh awlaa to gohar ho nahiin saktaa
#dard شعر
merii be-sabriyon kii baat sun sab se kehtaa ho
tahammul mujh se bhii to haal sun ke ho nahiin saktaa
#ishq شعر
dil-e-aawaara tujhe yaan kis kii zulf se yaa rab
ilaaj-e-aawaargii kaa is se behtar ho nahiin saktaa
#dard شعر
tere kehne se main az-bas ke baahar ho nahiin saktaa
iraada sabr kaa kartaa to huun par ho nahiin saktaa
#ishq شعر
main apnaa haal keh saaraa jo puuchhaa waada aane kaa
kahaa sun ke sab baaton ko aakhir mudda'aa niklaa
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 351 to 400 of 667 items