شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#ishq شعر
Kyun hijr ke shikwe karta hai, kyun dard ke rone rota hai
Ab ishq kiya to sabr bhi kar, is mein to yahi kuchh hota hai
#zindagi شعر
Iraade baandhta hoon, sochta hoon, tod deta hoonKahin aisa na ho jaaye, kahin aisa na ho jaaye
#tanhai شعر
Kuchh to tanhai ki raaton mein sahaara hotaTum na hote na sahi zikr tumhaara hota
#husn شعر
Hai qayamat tire shabab ka rangRang badlega phir zamane ka
#ishq شعر
Mujhe hai e'tibar-e-vaada lekinTumhein KHud e'tibar aae na aae
#dard شعر
Dil mein leta hai chuTkiyan koiHae is dard ki dawa kya hai
#zindagi شعر
Kaanton se dil lagao jo ta-umr saath denPhulon ka kya jo saans ki garmi na sah saken
#tanhai شعر
Puchhte kya ho jo haal-e-shab-e-tanhai thaRuKHsat-e-sabr thi ya tark-e-shakebai tha
#zindagi شعر
Jam'a kar lijiye ghairon ko magar KHubi-e-bazmBas wahin tak hai ki bazar na hone paae
#ishq شعر
Aap jaate to hain us bazm mein 'Shibli' lekinHaal-e-dil dekhiye izhaar na hone paae
#zindagi شعر
Faraaz-e-daar pe bhi main ne tere git gae hainBata ai zindagi tu legi kab tak imtihan mera
#tasawwuf شعر
Main ruh-e-alam-e-imkan mein sharh-e-azmat-e-yazdanAzal hai meri bedari abad KHwab-e-giran mera
#ishq شعر
main samajhta hun tujhe meri wafa yaad nahintu samajhta hai mujhe teri jafa yaad nahin
#tasawwuf شعر
fana kahte hain kis ko maut se pahle hi mar jaanabaqa hai naam kis ka apni hasti se guzar jaana
#sharab شعر
zikr se rindon ke waiz tu abhi waqif nahinye to hu-haq ki sada hai shor-e-rindana nahin
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 201 to 250 of 333 items