شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#sharab شعر
Apni biti kaise sunaen mad-masti ki baaten hain
'Mira-ji' ka jivan bita paas ke ik mai-KHane mein
#zindagi شعر
'Mira-ji' kyun soch satae palak palak Dori lahrae
Qismat jo bhi rang dikhae apne dil mein samona hoga
#zindagi شعر
Apni miTTi hai kahan ki kya KHabar baad-e-saba
Ho pareshan dekhiye kis kis jagah musht-e-ghubar
#sharab شعر
Bajae mai diya pani ka ek gilas mujhe
Samajh liya mere saqi ne bad-hawas mujhe
#tasawwuf شعر
Main us ko Kaaba o but-khana mein kyun dhundne niklun
Mere toote hue dil hi ke andar hai qiyam us ka
#inqilab شعر
Bartaniya ki chhid gayi Hindustan se jang
Halanki us se jang hai sare jahan se jang
#inqilab شعر
Hum natavan sahi hai Khuda to hamare sath
Ab bhi woh karte hain to karen natavan se jang
#inqilab شعر
Naqus se gharaz hai na matlab azaan se hai
Mujh ko agar hai ishq to Hindustan se hai
#zindagi شعر
Hai aaj rukh-e-hawa ka muwafiq to chal nikal
Kal ki kise khabar hai kidhar ki hawa chale
#zindagi شعر
Kabhi bhul kar kisi se na karo suluk aisa
Ki jo tum se koi karta tumhen nagawar hota
#zindagi شعر
Dosti aur kisi gharaz ke liye
Woh tijarat hai dosti hi nahin
#tasawwuf شعر
Taarif us Khuda ki jis ne jahan banaya
Kaisi zamin banai kya aasman banaya
#dard شعر
chalte chalte kuchh tham jaanā phir bojhal qadmoñ se chalnā
ye kaisī kasak sī baaqī hai jab paañv meñ vo kāñTā bhī nahīñ
#hijr شعر
kis se ab ārzū-e-vasl kareñ
is ḳharābe meñ koī mard kahāñ
#khudi شعر
sirf hāthoñ ko na dekho kabhī āñkheñ bhī paḌho
kuchh savālī baḌe ḳhuddār huā karte haiñ
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 251 to 300 of 333 items