شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#zindagi شعر
Hai ye duniya jaa-e-ibrat KHaak se insaan kiBan gae kitne subu kitne hi paimaane hue
#tanhai شعر
Baadal aae hain ghir gulaal ke laalKuchh kisi ka nahin kisi ko KHayal
#zindagi شعر
Zulm ki tehni kabhi phalti nahinNao kaaghaz ki kahin chalti nahin
#zindagi شعر
Chali jaati hai tu ai umr-e-raftaYe ham ko kis musibat mein phansa kar
#ishq شعر
Aaj ghera hi tha use main neKar ke iqrar mujh se chhuT gaya
#zindagi شعر
Ik baazi-e-ishq se hain aariKhele hain warna sab jue ham
#zindagi شعر
Baad muddat wo dekh kar bolaKis ne yaan KHaak ka ye Dher rakha
#sharab شعر
Mai pi ke jo girta hai to lete hain use thamNazron se gira jo use phir kis ne sambhala
#dard شعر
Dil ki betabi nahin Thaharne deti hai mujheDin kahin raat kahin subh kahin sham kahin
#ishq شعر
The hum to KHud-pasand bahut lekin ishq meinAb hai wahi pasand jo ho yar ko pasand
#hijr شعر
Juda kisi se kisi ka gharaz habib na hoYe dagh wo hai ki dushman ko bhi nasib na ho
#ishq شعر
Tha irada teri fariyaad karen hakim seWo bhi ai shoKH tera chahne wala nikla
#ishq شعر
Us gul ko bhejna hai mujhe KHat saba ke haathIs waste laga hun chaman ki hawa ke haath
#dard شعر
Jo tu ne ki so dushman bhi nahin dushman se karta hai
Ghalat tha jaante the tujh ko jo hum mehrban apna
#ishq شعر
Ruswa agar na karna tha aalam mein yun mujheAisi nigah-e-naz se dekha tha kyun mujhe
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 601 to 650 of 667 items