14,207
Text:
GHAZAL

Dil-e-Nadan Tujhe Hua Kya Hai

Dil-e-nadan tujhe hua kya hai
Akhir is dard ki dawa kya hai
Hum hain mushtaq aur wo be-zar
Ya Ilahi ye majra kya hai
Main bhi munh mein zaban rakhta hoon
Kaash poochho ke mudda'a kya hai
Hum ko un se wafa ki hai umeed
Jo nahin jaante wafa kya hai
Haan bhala kar tera bhala hoga
Aur darwesh ki sada kya hai
Jaan tum par nisar karta hoon
Main nahin jaanta dua kya hai
Maine maana ke kuchh nahin Ghalib
Muft haath aaye to bura kya hai
Tip: Click or hover on underlined words to view instant Safha Global dictionary definitions
Title
Reciter / Artist
0:00 / 0:00