شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Letter: A ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 39 Couplets available
#zindagi شعر
maut hī insān kī dushman nahīñ
zindagī bhī jaan le kar jā.egī
#dard شعر
'arsh' kis dost ko apnā samjhūñ
sab ke sab dost haiñ dushman kī taraf
#ishq شعر
ada se dekh lete hain main jab jaane ko kahta hun
phir us par kahte hain hum kab tumhein majbur karte hain
#inqilab شعر
inqalab aaega raftar se mayus na ho
bahut aahista nahin hai jo bahut tez nahin
#zindagi شعر
shikayaten bhi bahut hain hikayaten bhi bahut
maza to jab hai ki yaron ke ru-ba-ru kahiye
#hijr شعر
aap ki yaad aati rahi raat bhar
chashm-e-nam muskuraati rahi raat bhar
#husn شعر
aalam-e-husn hai wo naqsh-e-maani 'saqib'
jo meri tab-e-KHuda-dad ne ijad kiya
#zindagi شعر
ab bhi ek umr pe jine ka na andaz aaya
zindagi chhoD de pichha mera main baz aaya
#ishq شعر
Ek aaina ru-ba-ru hai abhi
Us ki KHushbu se guftugu hai abhi
#dard شعر
KHamushi se hui fughan se hui
Ibtida ranj ki kahan se hui
#tanhai شعر
Is bhare shahr mein koi aisa nahin
Jo mujhe raah chalte ko pahchan le
#inqilab شعر
Koi jo rahta hai rahne do maslahat ka shikar
Chalo ki jashn-e-bahaaran manaenge sab yar
#sharab شعر
Apni biti kaise sunaen mad-masti ki baaten hain
'Mira-ji' ka jivan bita paas ke ik mai-KHane mein
#zindagi شعر
Apni miTTi hai kahan ki kya KHabar baad-e-saba
Ho pareshan dekhiye kis kis jagah musht-e-ghubar
#tanhai شعر
aaj kī raat bhī tanhā hī kaTī
aaj ke din bhī añdherā hogā
Showing 15 of 39 on this page • Scroll or click for more
Showing 101 to 139 of 139 items