شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Theme: #zindagi ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 21 Couplets available
#zindagi شعر
Muflisi sab bahaar khoti haiMard ka e'tibar khoti hai
#zindagi شعر
Paida hua to ik nayi rooh saath aayi, mar gaya to rooh jism ko chhor kar chali gayi.
Kamal, ik mukhtasar sa safar zindagi ka.
#zindagi شعر
Bandish-e-alfaaz jaDne se nagon ke kam nahin
Shaa'iri bhi kaam hai 'aatish' murassa-saaz ka
#zindagi شعر
Hangama hai kyun barpa thodi si jo pi li hai
Daaka to nahin maara chori to nahin ki hai
#zindagi شعر
Paida hua wakeel to shaitan ne kaha
Lo aaj hum bhi sahib-e-aulad ho gaye
#zindagi شعر
Sun to sahi jahaan mein hai tera fasaana kya
Kehti hai tujh ko KHalk-e-KHuda ghaa'ebaana kya
#zindagi شعر
Leaderon ki dhoom hai aur follower koi nahin
Sab to general hain yahan aakhir sipahi kaun hai
#zindagi شعر
Behtar to hai yehi ke na duniya se dil lage
Par kya karen jo kaam na be-dillagi chale
#zindagi شعر
Ham aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
Wo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
#zindagi شعر
'Sauda' tu is ghazal ko ghazal-dar-ghazal hi kah
Hona hai tujh ko 'Mir' se ustaad ki taraf
#zindagi شعر
In dinon garche dakan mein hai baDi qadr-e-sukhan
Kaun jaae 'Zauq' par dilli ki galiyan chhoD kar
#zindagi شعر
Bahut pahle se un qadmon ki aahat jaan lete hain
Tujhe ai zindagi hum door se pahchaan lete hain
#zindagi شعر
'Sauda' jo be-khabar hai wahi yaan kare hai 'aish
Mushkil bahut hai un ko jo rakhte hain aagahi
#zindagi شعر
Na hua par na hua 'Meer' ka andaaz naseeb
'Zauq' yaaron ne bahut zor ghazal mein maara
#zindagi شعر
Ham ko mitaa sake ye zamaane mein dam nahiin
ham se zamaanaa khud hai zamaane se ham nahiin
Showing 15 of 21 on this page • Scroll or click for more
Showing 151 to 171 of 171 items