شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#inqilab شعر
Sabhi ka khoon hai shamil yahan ki mitti mein
Kisi ke baap ka Hindustan thodi hai
#inqilab شعر
Zulmat ko zia sarsar ko saba bande ko khuda kya likhna
Main nahin manta main nahin janta
#zindagi شعر
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
Kahin zameen to kahin aasman nahin milta
#ishq شعر
Tum mere paas hote ho goya
Jab koi doosra nahin hota
#ishq شعر
Un ke dekhe se jo aa jaati hai munh par raunaq
Woh samajhte hain ke beemar ka haal achha hai
#khudi شعر
Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud poochhe bata teri raza kya hai
#zindagi شعر
Duniya ne tajurbat-o-hawadis ki shakal mein
Jo kuchh mujhe diya hai wo lauta raha hoon main
#ishq شعر
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
Aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa
#dard شعر
Kitna hai bad-naseeb Zafar dafn ke liye
Do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar mein
#zindagi شعر
Hazaaron khwahishein aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bahut nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle
#husn شعر
Woh to khushboo hai hawaon mein bikhar jayega
Masla phool ka hai phool kidhar jayega
#dard شعر
Dil mein ik lehar si uthi hai abhi
Koi taza hawa chali hai abhi
#dard شعر
Aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa
Rahatein aur bhi hain wasl ki rahat ke siwa
#zindagi شعر
Hasti apni habab ki si hai
Ye numaish sarab ki si hai
#tanhai شعر
Uss ki umeed-e-naz ka hum se ye maan tha ke hum
Umr guzar dein ge aur aah na kar sakenge hum
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 1 to 50 of 667 items