شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Letter: Y ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 28 Couplets available
#Philosophy شعر
Ye aaina jo sachai bayaan karta hai
Zamana iske muqabil khada nazar aaya
#sharab شعر
dur se dekhne ka 'yas' gunahgar hun mainaashna tak na hue lab kabhi paimane se
#zindagi شعر
dard ho to dawa bhi mumkin haiwahm ki kya dawa kare koi
#inqilab شعر
sab tere siwa kafir aaKHir is ka matlab kyasar phira de insan ka aisa KHabt-e-mazhab kya
#khudi شعر
KHudi ka nashsha chaDha aap mein raha na gayaKHuda bane the 'yagana' magar bana na gaya
#tanhai شعر
aa rahi hai ye sada kan mein viranon sekal ki hai baat ki aabaad the diwanon se
#dard شعر
Yahi tang haal jo sab ka hai, ye karishma qudrat-e-Rab ka hai / Jo bahaar thi so khazaan hui jo khazaan thi wo ab wo bahaar hai
#dard شعر
Ye kisi ne zulm bhi hai suna ki di phaansi logon ko be-gunaah / Ve kalma-goyon ki samt se abhi dil mein unke bukhaar hai
#dard شعر
Ye ra'aaya Hind taba hui, kahun kya jo un pe jafa hui / Jise dekha haakim-e-waqt ne kaha ye bhi qaabil-e-daar hai
#dard شعر
Yaan ke safed-o-siyah mein hum ko dakhl jo ho so itna hai
Raat ko ro ro subh kiya ya din ko jal jal shaam kiya
#ishq شعر
ye samajh ke maanā hai sach tumhārī bātoñ ko
itne ḳhūb-sūrat lab jhuuT kaise boleñge
#hijr شعر
yaa-rab GHam-e-hijraaN meN itnaa to kiyaa hotaa
jo haath jigar par hai vo dast-e-du.aa hotaa
#zindagi شعر
yun to marne ke liye zahr sabhi pite hain
zindagi tere liye zahr piya hai main ne
#hijr شعر
ye kis maqam pe sujhi tujhe bichhaDne ki
ki ab to ja ke kahin din sanvarne wale the
#ishq شعر
yaad rakhna hi mohabbat mein nahin hai sab kuchh
bhul jaana bhi baDi baat hua karti hai
Showing 15 of 28 on this page • Scroll or click for more
Showing 1 to 28 of 28 items