شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Letter: J ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 21 Couplets available
#inqilab شعر
Jis ahd mein luT jae faqiron ki kamaiUs ahd ke sultan se kuchh bhul hui hai
#zindagi شعر
Jam'a kar lijiye ghairon ko magar KHubi-e-bazmBas wahin tak hai ki bazar na hone paae
#ishq شعر
Jis ka tujh sa habib hovegaKaun us ka raqib hovega
#tasawwuf شعر
jo main din-raat yun gardan jhukae baiTha rahta hun
teri taswir si dil mein khinchi ma'lum hoti hai
#ishq شعر
jaise ki aaj vasl huā kyā na chāhiye
ik din bhī aave aisā agar sau baras ke biich
#zindagi شعر
jab na jite-ji mere kaam aaegi
kya ye duniya aaqibat baKHshwaegi
#dard شعر
Jis taraf ko main gaya rota hua
Ta falak ro-e-zamin darya hua
#zindagi شعر
Jis ne paya use so hai khamosh
Jis ne paya nahin so bakta hai
#ishq شعر
jab bhī aatā hai mirā naam tire naam ke saath
jaane kyuuñ log mire naam se jal jaate haiñ
#ishq شعر
Jadu hai ya tilism tumhaari zaban mein
Tum jhuT kah rahe the mujhe e'tibar tha
#ishq شعر
Dil ki choton ne kabhi chain se rahne na diyaJab chali sard hawa main ne tujhe yaad kiya
#inqilab شعر
Kaam hai mera taghayyur, naam hai mera shababMera na'ra inqilab-o-inqilab-o-inqilab
#hijr شعر
Juda kisi se kisi ka gharaz habib na hoYe dagh wo hai ki dushman ko bhi nasib na ho
#dard شعر
Jo tu ne ki so dushman bhi nahin dushman se karta hai
Ghalat tha jaante the tujh ko jo hum mehrban apna
#ishq شعر
Jise ishq ka tiir kaari lageUse zindagi kyun na bhaari lage
Showing 15 of 21 on this page • Scroll or click for more
Showing 51 to 71 of 71 items