شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Letter: M ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#dard شعر
Ahd-e-jawani ro ro kaata peeri mein leen aankhen moond
Yaani raat bahut the jaage subh hui aaram kiya
#dard شعر
Ulti ho gayin sab tadbeeren kuchh na dawa ne kaam kiya
Dekha is beemari-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiya
#ishq شعر
Sher to wo hain mere 'Momin' ki hangam-e-jawab
Khauf se munh aur zaban-e-har sukhanwar khushk ho
#ishq شعر
Tashna-kaam-e-ishq hun gar khaak se meri bane
Aab jun jun bhare dun dun saghar khushk ho
#ishq شعر
Roz-e-mahshar aap ke is tashna-e-didar ka
Halq-e-tashna tar na ho aur hauz-e-kausar khushk ho
#ishq شعر
Sham'a-saan main soz-e-girya se sarapa jal gaya
Hai ta'ajjub gar shajar pani ke andar khushk ho
#ishq شعر
Mauj-zan hai ek ya haye josh-e-ashk haye
Aastin ho jaye tar daman-e-tar gar khushk ho
#ishq شعر
Soz-e-dil aap jigar lene de dam to kab talak
Tar rahen aankhen hamesha aur lab aksar khushk ho
#ishq شعر
Uf re soz-e-nala wallah re sailab-e-ashk
Is se tar ru-e-zamin is se samandar khushk ho
#ishq شعر
Aah ki garmi se duniya mein ho jo tar khushk ho
Nuh ka tufan bhi ho to khushk ho par khushk ho
#zindagi شعر
dhuup ne guzārish kī
ek buuñd bārish kī
#ishq شعر
añdherī rātoñ meñ dekh lenā
dikhā.ī degī badan kī ḳhushbū
#tasawwuf شعر
mullā kī dauḌ jaise hai masjid talak 'nasīr'
hai mast kī bhī ḳhāna-e-ḳhummār tak pahuñch
#dard شعر
mushkil hai rok āh-e-dil-e-dāġhdār kī
kahte haiñ sau sunār kī aur ik luhār kī
#sharab شعر
mai-kashoñ meñ na koī mujh sā namāzī hogā
dar-e-mai-ḳhāna pe bichhtā hai musallā apnā
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 51 to 100 of 228 items