شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Letter: M ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#sharab شعر
zikr se rindon ke waiz tu abhi waqif nahinye to hu-haq ki sada hai shor-e-rindana nahin
#tasawwuf شعر
baada-e-khum-e-khana-e-tauhid ka mai-nosh hunchur hun masti mein aisa be-khud-o-madhosh hun
#husn شعر
dil mein jab se dekhta hai wo teri taswir konur barsata hai apni chashm-e-tar se aaftab
#zindagi شعر
Ahl-e-iman 'soz' ko kahte hain kafir ho gayaAah ya rab raaz-e-dil in par bhi zahir ho gaya
#ishq شعر
Un se aur mujh se yahi shart-e-wafa Thahri haiWo sitam Dhaen magar un ko sitam-gar na kahun
#ishq شعر
Sar zanu pe ho us ke aur jaan nikal jaeMarna to musallam hai arman nikal jae
#tasawwuf شعر
'Soz' ko wo milaega tujh seJo KHuda ka habib hovega
#ishq شعر
Jis ka tujh sa habib hovegaKaun us ka raqib hovega
#tasawwuf شعر
Mere pair par har aane wale parinde ko hasrat se dekhta tha
Koshish karta tha un ki aawazen samajhne ki
Mujhe yeh ehsas tha
Aaj zaroor laya hoga meri maa ka ek paigham
#tasawwuf شعر
Mere apne hi the wo do farishteDono rujoo kar gayeKaun maangega ab dua hamare liye kamal
#tasawwuf شعر
Maa baap se mohabbat khoon ka asar nahiTeesri rooh me dono ka hissa hai, Kamal
#zindagi شعر
khayal jis ka tha mujhe khayal mein mila mujhe
sawal ka jawab bhi sawal mein mila mujhe
#hijr شعر
ashk-e-ravan ki nahr hai aur hum hain dosto
us bewafa ka shahr hai aur hum hain dosto
#husn شعر
aise hans hans ke na dekha karo sab ki jaanib
log aisi hi adaon pe fida hote hain
#inqilab شعر
main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar
log saath aate gae aur karwan banta gaya
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 151 to 200 of 228 items