شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#zindagi شعر
naseh yahan ye fikr hai sina bhi chaak ho
hai fikr-e-bakhiya tujh ko gareban ke chaak mein
#dard شعر
is dard-e-judai se kahin jaan nikal jae
'azurda' mire haq mein zara yun bhi dua kar
#hijr شعر
vo aur vaada vasl ka qasid nahin nahin
sach sach bata ye lafz unhi ki zaban ke hain
#ishq شعر
'azurda' mar ke kucha-e-jaanan mein rah gaya
di thi dua kisi ne ki jannat mein ghar mile
#ishq شعر
ai dil tamam nafa hai sauda-e-ishq mein
ik jaan ka ziyan hai so aisa ziyan nahin
#khudi شعر
hazar daam se nikla hun ek jumbish mein
jise ghurur ho aae kare shikar mujhe
#hijr شعر
izhar-e-ishq us se na karna tha 'shefta'
ye kya kiya ki dost ko dushman bana diya
#ishq شعر
shayad isi ka naam mohabbat hai 'shefta'
ik aag si hai sine ke andar lagi hui
#khudi شعر
ham talib-e-shohrat hain hamein nang se kya kaam
badnam agar honge to kya naam na hoga
#dard شعر
kis liye lutf ki baaten hain phir
kya koi aur sitam yaad aaya
#ishq شعر
Mohabbat ki sultani hai sab jagat mein
Ki us sam nahin koi gyani o dani
#husn شعر
Dil ki bisat kya thi nigah-e-jamal mein
Ik aaina tha TuuT gaya dekh-bhaal mein
#zindagi شعر
Kahani hai to itni hai fareb-e-KHwab-e-hasti ki
Ki aankhen band hon aur aadmi afsana ho jae
#ishq شعر
Roz kahta hun ki ab un ko na dekhunga kabhi
Roz us kuche mein ek kaam nikal aata hai
#ishq شعر
Main dekhta hun aap ko hadd-e-nigah tak
Lekin meri nigah ka kya e'tibar hai
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 651 to 700 of 794 items