شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#ishq شعر
tujhe kuchh ishq o ulfat ke sivā bhī yaad hai ai dil
sunā.e jā rahā hai ek hī afsāna barsoñ se
#dard شعر
ab ik rūmāl mere saath kā hai
jo merī vālida ke haath kā hai
#ishq شعر
ham ne kitne dhoke meñ sab jīvan kī barbādī kī
gaal pe ik til dekh ke un ke saare jism se shādī kī
#hijr شعر
vo galī ham se chhūTtī hī nahīñ
kyā kareñ aas TūTtī hī nahīñ
#hijr شعر
tark-e-ta.alluqāt pe royā na tū na maiñ
lekin ye kyā ki chain se soyā na tū na maiñ
#zindagi شعر
burā na maan 'ziyā' us kī sāf-goī kā
jo dard-mand bhī hai aur be-adab bhī nahīñ
#ishq شعر
itnā sochā tujhe ki duniyā ko
ham ne terī nigāh se dekhā
#ishq شعر
ye samajh ke maanā hai sach tumhārī bātoñ ko
itne ḳhūb-sūrat lab jhuuT kaise boleñge
#hijr شعر
chhoḌne maiñ nahīñ jaatā use darvāze tak
lauT aatā huuñ ki ab kaun use jaatā dekhe
#zindagi شعر
mujh ko shah-e-aalam kiyaa us rab ne na kyuuñkar
allaah kaa shukraana in.aam karuuñ maiñ
#ishq شعر
paataa nahiiñ huuñ aur kisii kaam se lazzat
jo kuchh ki maiñ paataa huuñ tire naam se lazzat
#hijr شعر
ghar ghair ke jo yaar miraa raat se gayaa
jii siine se nikal gayaa dil haat se gayaa
#husn شعر
thii raat jo yakaayak din dekhne lage sab
jab 'aaftaab' us ne ruKH se uThaa lii zulfeñ
#husn شعر
dekho to kis adaa se ruKH par hain Daalii zulfeñ
juuñ maar Dastii hain dil dilbar kii kaalii zulfeñ
#ishq شعر
Jise aap ginte the aashna jise aap kahte the ba-wafa
Main wahi hoon 'Momin'-e-mubtala tumhein yaad ho ki na yaad ho
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 251 to 300 of 794 items