شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 25 Couplets available
#tasawwuf شعر
But-KHaana toD Daaliye masjid ko Dhaaiye
Dil ko na toDiye ye KHuda ka maqaam hai
#zindagi شعر
Sun to sahi jahaan mein hai tera fasaana kya
Kehti hai tujh ko KHalk-e-KHuda ghaa'ebaana kya
#zindagi شعر
Behtar to hai yehi ke na duniya se dil lage
Par kya karen jo kaam na be-dillagi chale
#ishq شعر
Jo dekhte teri zanjir-e-zulf ka aalam
Asir hone ki aazaad aarzu karte
#zindagi شعر
'Sauda' tu is ghazal ko ghazal-dar-ghazal hi kah
Hona hai tujh ko 'Mir' se ustaad ki taraf
#zindagi شعر
In dinon garche dakan mein hai baDi qadr-e-sukhan
Kaun jaae 'Zauq' par dilli ki galiyan chhoD kar
#zindagi شعر
'Sauda' jo be-khabar hai wahi yaan kare hai 'aish
Mushkil bahut hai un ko jo rakhte hain aagahi
#zindagi شعر
Na hua par na hua 'Meer' ka andaaz naseeb
'Zauq' yaaron ne bahut zor ghazal mein maara
#ishq شعر
Na kar 'Sauda' tu shikwa ham se dil ki be-qaraari ka
Mohabbat kis ko deti hai miyaan aaraam duniya mein
#dard شعر
Ab to ghabra ke ye kehte hain ki mar jaaenge
Mar ke bhi chain na paaya to kidhar jaaenge
#ishq شعر
Jazba-e-'ishq salaamat hai to Insha-Allah
Kachche dhaage se chale aayenge sarkaar bandhe
#ishq شعر
Kaifiyyat-e-chashm us ki mujhe yaad hai 'Sauda'
Saaghar ko mire haath se liijo ke chala main
#zindagi شعر
Laai hayat aaye qaza le chali chale
Apni khushi na aaye na apni khushi chale
#dard شعر
Na chheD ai nikhat-e-baad-e-bahaari raah lag apni
Tujhe aTkheliyan sujhi hain ham be-zar baiThe hain
#zindagi شعر
Fikr-e-ma'aash 'ishq-e-butaan yaad-e-raftagaan
Is zindagi mein ab koi kya kya kiya kare
Showing 15 of 25 on this page • Scroll or click for more
Showing 351 to 375 of 375 items