شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#sharab شعر
ye bazm-e-mai hai yan kotah-dasti mein hai mahrumi
jo baDh kar KHud uTha le hath mein mina usi ka hai
#dard شعر
KHamoshi se musibat aur bhi sangin hoti hai
taDap ai dil taDapne se zara taskin hoti hai
#ishq شعر
Ek aaina ru-ba-ru hai abhi
Us ki KHushbu se guftugu hai abhi
#dard شعر
KHamushi se hui fughan se hui
Ibtida ranj ki kahan se hui
#zindagi شعر
Insaan ki khwahishon ki koi intiha nahin
Do gaz zameen bhi chahiye do gaz kafan ke baad
#dard شعر
Tum itna jo muskura rahe ho
Kya gham hai jisko chhupa rahe ho
#tanhai شعر
Is bhare shahr mein koi aisa nahin
Jo mujhe raah chalte ko pahchan le
#inqilab شعر
Koi jo rahta hai rahne do maslahat ka shikar
Chalo ki jashn-e-bahaaran manaenge sab yar
#zindagi شعر
'Mir' mile the 'Mira-ji' se baaton se ham jaan gae
Faiz ka chashma jari hai hifz un ka bhi divan karen
#sharab شعر
Apni biti kaise sunaen mad-masti ki baaten hain
'Mira-ji' ka jivan bita paas ke ik mai-KHane mein
#zindagi شعر
'Mira-ji' kyun soch satae palak palak Dori lahrae
Qismat jo bhi rang dikhae apne dil mein samona hoga
#zindagi شعر
Apni miTTi hai kahan ki kya KHabar baad-e-saba
Ho pareshan dekhiye kis kis jagah musht-e-ghubar
#sharab شعر
Bajae mai diya pani ka ek gilas mujhe
Samajh liya mere saqi ne bad-hawas mujhe
#tasawwuf شعر
Main us ko Kaaba o but-khana mein kyun dhundne niklun
Mere toote hue dil hi ke andar hai qiyam us ka
#inqilab شعر
Bartaniya ki chhid gayi Hindustan se jang
Halanki us se jang hai sare jahan se jang
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 301 to 350 of 392 items