شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 42 Couplets available
#zindagi شعر
ek muamma hai samajhne ka na samjhane kazindagi kahe ko hai KHwab hai diwane ka
#dard شعر
Sun ke sari dastan-e-ranj-o-gham
Kah diya us ne ki phir hum kya karen
#zindagi شعر
Baat wo kahiye ki jis baat ke sau pahlu hon
Koi pahlu to rahe baat badalne ke liye
#zindagi شعر
Raah mein baiTha hun main tum sang-e-rah samjho mujhe
Aadmi ban jaunga kuchh Thokaren khane ke baad
#ishq شعر
Jadu hai ya tilism tumhaari zaban mein
Tum jhuT kah rahe the mujhe e'tibar tha
#ishq شعر
Dil mohabbat se bhar gaya 'beKHud'
Ab kisi par fida nahin hota
#inqilab شعر
Watan ki KHak se mar kar bhi hum ko uns baqi hai
Maza daman-e-madar ka hai is miTTi ke daman mein
#zindagi شعر
Ik silsila havas ka hai insan ki zindagi
Is ek musht-e-KHak ko gham do-jahan ke hain
#zindagi شعر
Adab ta'lim ka jauhar hai zewar hai jawani ka
Wahi shagird hain jo KHidmat-e-ustad karte hain
#ishq شعر
Agar dard-e-mohabbat se na insan aashna hota
Na kuchh marne ka gham hota na jine ka maza hota
#zindagi شعر
Zindagi kya hai anasir mein zuhur-e-tartib
Maut kya hai inhin ajza ka pareshan hona
#husn شعر
Mere pehlu ba pehlu jab wo chalti thi gulistan mein
Faraaz-e-aasmaan par kahkashaan hairat se takti thi
#inqilab شعر
Tere maathe pe ye aanchal bahut hi khoob hai lekin
Tu is aanchal se ek parcham bana leti to achha tha
#tanhai شعر
Raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahin
Laut kar waapas chala jaaun meri fitrat nahin
Aur koi ham-nawa mil jaae ye qismat nahin
Ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
#tanhai شعر
Shahr ki raat aur main nashaad o nakaara phirun
Jagmagati jaagti sadkon pe aawaara phirun
Ghair ki basti hai kab tak dar-ba-dar maara phirun
Ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
Showing 15 of 42 on this page • Scroll or click for more
Showing 351 to 392 of 392 items