شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Letter: M ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 30 Couplets available
#ishq شعر
'azurda' mar ke kucha-e-jaanan mein rah gaya
di thi dua kisi ne ki jannat mein ghar mile
#ishq شعر
ai dil tamam nafa hai sauda-e-ishq mein
ik jaan ka ziyan hai so aisa ziyan nahin
#ishq شعر
Mohabbat ki sultani hai sab jagat mein
Ki us sam nahin koi gyani o dani
#ishq شعر
Main dekhta hun aap ko hadd-e-nigah tak
Lekin meri nigah ka kya e'tibar hai
#ishq شعر
main ne 'fani' Dubti dekhi hai nabz-e-kaenatjab mizaj-e-yar kuchh barham nazar aaya mujhe
#dard شعر
aaj ik aur baras biit gaya us ke baghair
jis ke hote hue hote the zamane mere
#zindagi شعر
dil saaf ho kis tarah ki insaf nahin hai
insaf ho kis tarah ki dil saf nahin hai
#khudi شعر
KHaaqaan-e-suKHan hun main dabir-e-jigar-afgar
sikka hai taKHallus mera aur nazm diram hai
#khudi شعر
kis sher ki aamad hai ki ran kaanp raha hai
rustam ka jigar zer-e-kafan kaanp raha hai
#ishq شعر
Sabab hum par khula us shokh ke aansuu nikalne kaa
Dhuaa.n lagtaa hai aankhon mein kisi ke dil ke jalne kaa
#husn شعر
āshiq ko dekhte haiñ dupaTTe ko taan kar
dete haiñ ham ko sharbat-e-dīdār chhān kar
#dard شعر
ashk-e-ġham dīda-e-pur-nam se sambhāle na ga.e
ye vo bachche haiñ jo maañ baap se paale na ga.e
#khudi شعر
lagā rahā huuñ mazāmīn-e-nau ke phir ambār
ḳhabar karo mere ḳhirman ke ḳhoshā-chīnoñ ko
#husn شعر
Mere pehlu ba pehlu jab wo chalti thi gulistan mein
Faraaz-e-aasmaan par kahkashaan hairat se takti thi
#inqilab شعر
Tere maathe pe ye aanchal bahut hi khoob hai lekin
Tu is aanchal se ek parcham bana leti to achha tha
Showing 15 of 30 on this page • Scroll or click for more
Showing 201 to 230 of 230 items