شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#dard شعر
Aankhon se bahr-e-ashk ko hone de mauj-zan
Hum tujh se tab kahenge ke saahil kidhar chala?
#dard شعر
Maanind-e-gard-baad hai kuchh ru ba-aasmaan
Aawaargaan-e-shauq ka mahmil kidhar chala?
#ishq شعر
Tik dekhta tu ja, tera bismil kidhar chala
Kar zabah us ko haaye tu qaatil kidhar chala?
#ishq شعر
Khursheed ho gaya khajil, apne azaar se
Parda jo tu ne, ai but-e-mahwash! ulat diya
#tasawwuf شعر
Na chhod ai Mushafi tu aastaan-e-hazrat-e-dil ko
Sab us sarkaar se paate hain khil'at sarfaraazi ka
#ishq شعر
Na mehr o lutf, ne gaahe nigaah aur ne kabhi milna
Bayaan kya kijiye Allah teri be-niyaazi ka!
#dard شعر
Fasana ik taraf shab haaye hijraan ki daraazi ka
Qayamat maajra naalon ki hai hangama saazi ka
#husn شعر
Jis taraf tu hai udhar hongi sabhi ki nazren
Eid ke chand ka deedar bahana hi sahi
#zindagi شعر
Kahan aa ke rukne the raaste kahan mod tha use bhool ja
Wo jo mil gaya use yaad rakh jo nahin mila use bhool ja
#zindagi شعر
Tum aise kaun KHuda ho ki umr bhar tum se
Umiid bhi na rakhun na-umiid bhi na rahun
#ishq شعر
Tere KHayaal ke deewar-o-dar banate hain
Hum apne ghar mein bhi tera hi ghar banate hain
#dard شعر
Meri rooh ki haqeeqat mere aansuon se poochho
Mera majlisi tabassum mera tarjuman nahin hai
#zindagi شعر
Inhin pattharon pe chal kar agar aa sako to aao
Mere ghar ke raaste mein koi kahkashan nahin hai
#zindagi شعر
GHam-e-aashiqi mein girah-kusha na KHirad hui na junoon hua
Wo sitam sahe ki hamein raha na pae-KHirad na sar-e-junoon
#sharab شعر
Pila saqiya mai-e-jaan pila ki main laaun phir KHabar-e-junoon
Ye KHirad ki raat chhaTe kahin nazar aae phir sahar-e-junoon
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 451 to 500 of 794 items