شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#ishq شعر
ziyyat musiibat malaamat balaayen
tere ishq mein ham ne kyaa kyaa na dekhaa
#tanhai شعر
yagaana hai tuu aah begaanagii mein
koii duusraa aur aisaa na dekhaa
#dard شعر
meraa ghuncha-e-dil ho woh dil giraftaa
ke jis ko kisii ne kabhuu waa na dekhaa
#tasawwuf شعر
tujhii ko jo yaan jalwa-farmaa na dekhaa
baraabar ho duniyaa ko dekhaa na dekhaa
#zindagi شعر
ai dard jis kii aankh khulii is jahaan mein
shabnam kii tarah jaan ko apnii woh ro gayaa
#zindagi شعر
KHak se sainkaDon uge KHurshidHai andhera magar charag-tale
#ishq شعر
Wafa ka ahd tha dil ko sambhaalne ke liyeWo hans paDe mujhe mushkil mein Daalne ke liye
#inqilab شعر
Siyah raat nahin leti naam Dhalne kaYahi to waqt hai suraj tere nikalne ka
#ishq شعر
Shadeed pyaas thi phir bhi chhua na paani koMain dekhta raha dariya tiri rawani ko
#inqilab شعر
Jis ahd mein luT jae faqiron ki kamaiUs ahd ke sultan se kuchh bhul hui hai
#dard شعر
Zindagi jabr-e-musalsal ki tarah kaTi haiJaane kis jurm ki pai hai saza yaad nahin
#ishq شعر
Kyun hijr ke shikwe karta hai, kyun dard ke rone rota hai
Ab ishq kiya to sabr bhi kar, is mein to yahi kuchh hota hai
#zindagi شعر
Iraade baandhta hoon, sochta hoon, tod deta hoonKahin aisa na ho jaaye, kahin aisa na ho jaaye
#tanhai شعر
Kuchh to tanhai ki raaton mein sahaara hotaTum na hote na sahi zikr tumhaara hota
#husn شعر
Hai qayamat tire shabab ka rangRang badlega phir zamane ka
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 501 to 550 of 794 items