شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Theme: #ishq ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 22 Couplets available
#ishq شعر
The hum to KHud-pasand bahut lekin ishq meinAb hai wahi pasand jo ho yar ko pasand
#ishq شعر
Tha irada teri fariyaad karen hakim seWo bhi ai shoKH tera chahne wala nikla
#ishq شعر
Us gul ko bhejna hai mujhe KHat saba ke haathIs waste laga hun chaman ki hawa ke haath
#ishq شعر
Ruswa agar na karna tha aalam mein yun mujheAisi nigah-e-naz se dekha tha kyun mujhe
#ishq شعر
KHuda ke waste is ko na TokoYahi ik shahr mein qatil raha hai
#ishq شعر
Ai 'Wali' kyun sun sake naseh ki baatJo diwana hai pari-ruKHsar ka
#ishq شعر
Yaad karna har ghaDi tujh yaar kaHai wazifa mujh dil-e-bimar ka
#ishq شعر
Jise ishq ka tiir kaari lageUse zindagi kyun na bhaari lage
#ishq شعر
Wafa tujh se ai bewafa chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun
#ishq شعر
Nahin aati to yaad un ki mahinon tak nahin aati
Magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain
#ishq شعر
Chori chori ham se tum aa kar mile the jis jagah
Muddatein guzrein par ab tak wo thikaana yaad hai
#ishq شعر
Chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
Ham ko ab tak aashiqi ka wo zamana yaad hai
#ishq شعر
Doston se is qadar sadme uThaaye jaan par
Dil se dushman ki adawat ka gila jaata raha
#ishq شعر
Jo dekhte teri zanjir-e-zulf ka aalam
Asir hone ki aazaad aarzu karte
#ishq شعر
Na koi waada na koi yaqeen na koi umeed
Magar hamein to tera intezaar karna tha
Showing 15 of 22 on this page • Scroll or click for more
Showing 201 to 222 of 222 items