شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Theme: #zindagi ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 19 Couplets available
#zindagi شعر
Hai ye duniya jaa-e-ibrat KHaak se insaan kiBan gae kitne subu kitne hi paimaane hue
#zindagi شعر
Zulm ki tehni kabhi phalti nahinNao kaaghaz ki kahin chalti nahin
#zindagi شعر
Chali jaati hai tu ai umr-e-raftaYe ham ko kis musibat mein phansa kar
#zindagi شعر
Ik baazi-e-ishq se hain aariKhele hain warna sab jue ham
#zindagi شعر
Baad muddat wo dekh kar bolaKis ne yaan KHaak ka ye Dher rakha
#zindagi شعر
Ye hasrat rah gai kya kya maze se zindagi karteAgar hota chaman apna gul apna baghban apna
#zindagi شعر
Muflisi sab bahaar khoti haiMard ka e'tibar khoti hai
#zindagi شعر
Bandish-e-alfaaz jaDne se nagon ke kam nahin
Shaa'iri bhi kaam hai 'aatish' murassa-saaz ka
#zindagi شعر
Sun to sahi jahaan mein hai tera fasaana kya
Kehti hai tujh ko KHalk-e-KHuda ghaa'ebaana kya
#zindagi شعر
Behtar to hai yehi ke na duniya se dil lage
Par kya karen jo kaam na be-dillagi chale
#zindagi شعر
'Sauda' tu is ghazal ko ghazal-dar-ghazal hi kah
Hona hai tujh ko 'Mir' se ustaad ki taraf
#zindagi شعر
In dinon garche dakan mein hai baDi qadr-e-sukhan
Kaun jaae 'Zauq' par dilli ki galiyan chhoD kar
#zindagi شعر
'Sauda' jo be-khabar hai wahi yaan kare hai 'aish
Mushkil bahut hai un ko jo rakhte hain aagahi
#zindagi شعر
Na hua par na hua 'Meer' ka andaaz naseeb
'Zauq' yaaron ne bahut zor ghazal mein maara
#zindagi شعر
Laai hayat aaye qaza le chali chale
Apni khushi na aaye na apni khushi chale
Showing 15 of 19 on this page • Scroll or click for more
Showing 51 to 69 of 69 items