شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#tasawwuf شعر
bharosa hai tiraa hii aur hai tere sivaa kis kaa
na deve aasraa jab tuu mujhe ho aasraa kis kaa
#ishq شعر
aataa nahiiN jo saamne maare hijaab ke
ham dil se haiN nisaar usii aaftaab ke
#inqilab شعر
aazaadii sirf ek ThanDii saaNs thii maqduur-bhar
aur ghulaamii! umr bhar kii roTiyaaN!!
#zindagi شعر
baarish dekhtii hai ki use kahaaN barasnaa hai
aur dhuup jaantii hai ki use kahaaN nahiiN jaanaa
#zindagi شعر
safar ki aaKHiri manzil ke rahbar hum hain
hamare saath chalo gard-e-rahguzar hum hain
#dard شعر
hath na aai duniya bhi aur ishq mein bhi gumnam rahe
soch ke ab sharminda hain kyun donon mein nakaam rahe
#dard شعر
muskurana kabhi na ras aaya
har hansi ek wardat bani
#ishq شعر
ham un ke sitam ko bhi karam jaan rahe hain
aur wo hain ki is par bhi bura maan rahe hain
#ishq شعر
ham jis ke ho gae wo hamara na ho saka
yun bhi hua hisab barabar kabhi kabhi
#khudi شعر
sahil ke sukun se kise inkar hai lekin
tufan se laDne mein maza aur hi kuchh hai
#dard شعر
mukhtasar ye hai hamari dastan-e-zindagi
ik sukun-e-dil ki khatir umr bhar tadpa kiye
#zindagi شعر
marne ki duaen kyun mangun jine ki tamanna kaun kare
ye duniya ho ya wo duniya ab khwahish-e-duniya kaun kare
#sharab شعر
hazar tarah ki mai pi hazar tarah ke zahr
na pyas hi bujhi apni na hausla nikla
#zindagi شعر
yun to marne ke liye zahr sabhi pite hain
zindagi tere liye zahr piya hai main ne
#khudi شعر
but banane pujne phir todne ke waste
khud-parasti ko naya har roz patthar chahiye
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 301 to 350 of 794 items