شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#zindagi شعر
Sahl hai Mir ka samajhna kya
Har sukhan us ka ik maqaam se hai
#zindagi شعر
Sher mere hain sab khawaas pasand
Par mujhe guftagu awaam se hai
#ishq شعر
Kab woh maghroor hum se mil baitha
Nang jis ko hamaare naam se hai
#dard شعر
Koi tujh sa bhi kaash tujh ko mile
Mudda'a hum ko intiqaam se hai
#ishq شعر
Bosa le kar sarak gaya kal main
Kuchh kaho kaam apne kaam se hai
#zindagi شعر
har ik nadī se kaḌī pyaas le ke vo guzrā
ye aur baat ki vo ḳhud bhī ek dariyā thā
#zindagi شعر
ye sach hai rañg badaltā thā vo har ik lamha
magar vahī to bahut kāmyāb chehrā thā
#ishq شعر
vo jab mujh ko dekh rahī thī maiñ ne us ko dekh liyā thā
bas itnī sī baat thī lekin baḌhte baḌhte kitnī baḌhī hai
#khudi شعر
aatā huuñ maiñ zamāne kī āñkhoñ meñ raat din
lekin ḳhud apnī nazroñ se ab tak nihāñ huuñ maiñ
#zindagi شعر
maiñ samajhtā huuñ ki hai jannat o dozaḳh kyā chiiz
ek hai vasl tirā ek hai furqat terī
#husn شعر
maiñ Dar rahā huuñ tumhārī nashīlī āñkhoñ se
ki luuT leñ na kisī roz kuchh pilā ke mujhe
#ishq شعر
mohabbat rang de jaatī hai jab dil dil se miltā hai
magar mushkil to ye hai dil baḌī mushkil se miltā hai
#ishq شعر
aap pahlū meñ jo baiTheñ to sambhal kar baiTheñ
dil-e-betāb ko aadat hai machal jaane kī
#hijr شعر
tasadduq is karam ke maiñ kabhī tanhā nahīñ rahtā
ki jis din tum nahīñ aate tumhārī yaad aatī hai
#dard شعر
ḳhamoshī merī ma.anī-ḳhez thī ai aarzū kitnī
ki jis ne jaisā chāhā vaisā afsāna banā Daalā
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 401 to 450 of 812 items