شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#zindagi شعر
sang-e-asvad bhī hai bhārī patthar
log jo chuum liyā karte haiñ
#zindagi شعر
chaak karne ke liye ai nāseh
ham garebān siyā karte haiñ
#ishq شعر
dafn mahbūb jahāñ haiñ 'nāsiḳh'
qabreñ ham chuum liyā karte haiñ
#zindagi شعر
zindagī zinda-dilī kā hai naam
murda-dil ḳhaak jiyā karte haiñ
#husn شعر
Mere pehlu ba pehlu jab wo chalti thi gulistan mein
Faraaz-e-aasmaan par kahkashaan hairat se takti thi
#inqilab شعر
Tere maathe pe ye aanchal bahut hi khoob hai lekin
Tu is aanchal se ek parcham bana leti to achha tha
#tanhai شعر
Raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahin
Laut kar waapas chala jaaun meri fitrat nahin
Aur koi ham-nawa mil jaae ye qismat nahin
Ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
#tanhai شعر
Shahr ki raat aur main nashaad o nakaara phirun
Jagmagati jaagti sadkon pe aawaara phirun
Ghair ki basti hai kab tak dar-ba-dar maara phirun
Ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
#ishq شعر
Dil ki choton ne kabhi chain se rahne na diyaJab chali sard hawa main ne tujhe yaad kiya
#inqilab شعر
Kaam hai mera taghayyur, naam hai mera shababMera na'ra inqilab-o-inqilab-o-inqilab
#dard شعر
Tazkira dehli-e-marhoom ka ai dost na chheDNa suna jaega ham se ye fasaana hargiz
#zindagi شعر
Yahi hai ibaadat yahi deen o imaanKi kaam aae duniya mein insaan ke insaan
#ishq شعر
Aage baDhe na qissa-e-ishq-e-butaan se hamSab kuchh kaha magar na khule raaz-daan se ham
#husn شعر
Hai justuju ki khoob se hai khoob-tar kahanAb Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan
#ishq شعر
Hoti nahin qubool dua tark-e-ishq kiDil chahta na ho to zabaan mein asar kahan
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 701 to 750 of 794 items