شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Theme: #zindagi ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 29 Couplets available
#zindagi شعر
Kashtiyan sab ki kinare pe pahunch jati hainNaKHuda jin ka nahin un ka KHuda hota hai
#zindagi شعر
Kis se garmi ka rakha jaae ye bhaari rozaSardi hove to rakhe mujh si bechaari roza
#zindagi شعر
Hai ye duniya jaa-e-ibrat KHaak se insaan kiBan gae kitne subu kitne hi paimaane hue
#zindagi شعر
Zulm ki tehni kabhi phalti nahinNao kaaghaz ki kahin chalti nahin
#zindagi شعر
Chali jaati hai tu ai umr-e-raftaYe ham ko kis musibat mein phansa kar
#zindagi شعر
Ik baazi-e-ishq se hain aariKhele hain warna sab jue ham
#zindagi شعر
Baad muddat wo dekh kar bolaKis ne yaan KHaak ka ye Dher rakha
#zindagi شعر
Ye hasrat rah gai kya kya maze se zindagi karteAgar hota chaman apna gul apna baghban apna
#zindagi شعر
Muflisi sab bahaar khoti haiMard ka e'tibar khoti hai
#zindagi شعر
Paida hua to ik nayi rooh saath aayi, mar gaya to rooh jism ko chhor kar chali gayi.
Kamal, ik mukhtasar sa safar zindagi ka.
#zindagi شعر
Bandish-e-alfaaz jaDne se nagon ke kam nahin
Shaa'iri bhi kaam hai 'aatish' murassa-saaz ka
#zindagi شعر
Hangama hai kyun barpa thodi si jo pi li hai
Daaka to nahin maara chori to nahin ki hai
#zindagi شعر
Paida hua wakeel to shaitan ne kaha
Lo aaj hum bhi sahib-e-aulad ho gaye
#zindagi شعر
Sun to sahi jahaan mein hai tera fasaana kya
Kehti hai tujh ko KHalk-e-KHuda ghaa'ebaana kya
#zindagi شعر
Leaderon ki dhoom hai aur follower koi nahin
Sab to general hain yahan aakhir sipahi kaun hai
Showing 15 of 29 on this page • Scroll or click for more
Showing 151 to 179 of 179 items