شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Letter: H ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 36 Couplets available
#tasawwuf شعر
hain dair-o-haram mein to bhare shaikh-o-barahman
juz khana-e-dil kijiye phir qasd kidhar ka
#hijr شعر
Hasil us mah-laqa ki did nahin
Eid hai aur hum ko eid nahin
#sharab شعر
Hath se mere wo pita nahin muddat se sharab
Yaro kya apni KHushi main ne pilana chhoDa
#husn شعر
har ishq se mere hii tere husn kaa shohraa
main kuchh nahiin par garmii-e-baazaar huun teraa
#husn شعر
hijaab-e-rukh-e-yaar the aap hii ham
khulii aankh jab koii pardaa na dekhaa
#ishq شعر
Kyun hijr ke shikwe karta hai, kyun dard ke rone rota hai
Ab ishq kiya to sabr bhi kar, is mein to yahi kuchh hota hai
#zindagi شعر
Iraade baandhta hoon, sochta hoon, tod deta hoonKahin aisa na ho jaaye, kahin aisa na ho jaaye
#husn شعر
Hai qayamat tire shabab ka rangRang badlega phir zamane ka
#tasawwuf شعر
Ham ko yaan dar-dar phiraya yaar ne
La-makan mein ghar banaya yar ne
#inqilab شعر
Hum natavan sahi hai Khuda to hamare sath
Ab bhi woh karte hain to karen natavan se jang
#zindagi شعر
Hai aaj rukh-e-hawa ka muwafiq to chal nikal
Kal ki kise khabar hai kidhar ki hawa chale
#tanhai شعر
har vaqt kā hañsnā tujhe barbād na kar de
tanhā.ī ke lamhoñ meñ kabhī ro bhī liyā kar
#tanhai شعر
hameñ bhī niiñd aa jā.egī ham bhī so hī jā.eñge
abhī kuchh be-qarārī hai sitāro tum to so jaao
#ishq شعر
har lamha agar gurez-pā hai
tū kyuuñ mire dil meñ bas gayā hai
#husn شعر
hans ke kahta hai musawwir se wo ghaarat-gar-e-hosh
jaisi surat hai meri waisi hi tasvir bhi ho
Showing 15 of 36 on this page • Scroll or click for more
Showing 51 to 86 of 86 items