شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Theme: #tasawwuf ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 27 Couplets available
#tasawwuf شعر
Maa baap se mohabbat khoon ka asar nahiTeesri rooh me dono ka hissa hai, Kamal
#tasawwuf شعر
Do roohein milin to Khuda ne teesri bana diKamal, isi rishte ko duniya ne mohabbat ka naam diya
#tasawwuf شعر
Badan mitti hai, mitti me mil jayegaRooh musafir hai, Kamal, ghar ko laut jayegi
#tasawwuf شعر
Kamal, rooh ki haqeeqat ko samajh!
Naadaan insaan mitti ke jism ki imaarat par kyun takabbur karta hai?
#tasawwuf شعر
Ik rooh aayi tere jism ki imaarat mein, kuch din qayaam kiya aur phir waapas chali gayi.
Kamal, naadaan insaan saat zindagiyon ki qasmein khaata raha.
#tasawwuf شعر
Ek hi sher ko kitni baar likha, phir bhi parhne mein lutf na aaya.
Alfaaz tabdeel karne ki koshish karta raha, bahut koshishon ke baad bhi kamyab na hua.
Phir sher waise hi chhor diya, ye samajh kar ke sher kar raha hai ek haqeeqat ka bayan — Kamal.
#tasawwuf شعر
jo main din-raat yun gardan jhukae baiTha rahta hun
teri taswir si dil mein khinchi ma'lum hoti hai
#tasawwuf شعر
'chanda' rahe partav se tere ya ali raushan
KHurshid ko hai dar se tere sham-o-sahar faiz
#tasawwuf شعر
Surat-e-gul mein khilkhila ke hansa
Shakl-e-bulbul mein chahchaha dekha
#tasawwuf شعر
Ham ko yaan dar-dar phiraya yaar ne
La-makan mein ghar banaya yar ne
#tasawwuf شعر
gori sove sej par mukh par Dare kes
chal 'KHusro' ghar aapne rain bhai chahun des
#tasawwuf شعر
Main us ko Kaaba o but-khana mein kyun dhundne niklun
Mere toote hue dil hi ke andar hai qiyam us ka
#tasawwuf شعر
Taarif us Khuda ki jis ne jahan banaya
Kaisi zamin banai kya aasman banaya
#tasawwuf شعر
Kabhu jo shaikh dikhaun main apne but ke taiin
Ba-rabb-e-Kaaba tujhe hasrat-e-haram na rahe
#tasawwuf شعر
Shah-e-bekhudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi
Na khirad ki bakhya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi
Showing 15 of 27 on this page • Scroll or click for more
Showing 51 to 77 of 77 items