شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Theme: #ishq × Letter: H ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 23 Couplets available
#ishq شعر
ham mohabbat kā sabaq bhuul ga.e
terī āñkhoñ ne paḌhāyā kyā hai
#ishq شعر
mohabbat karne vaale kam na hoñge
tirī mahfil meñ lekin ham na hoñge
#ishq شعر
kahīñ vo aa ke miTā deñ na intizār kā lutf
kahīñ qubūl na ho jaa.e iltijā merī
#ishq شعر
husn hai mohabbat hai mausam-e-bahārāñ hai
kā.enāt raqsāñ hai zindagī ġhazal-ḳhvāñ hai
#ishq شعر
Harf nahin jaan-bakhshi mein us ki khoobi apni qismat ki
Hum se jo pehle keh bheeja so marne ka paighaam kiya
#ishq شعر
hameñ to un kī mohabbat hai koī kuchh samjhe
hamāre saath mohabbat unheñ nahīñ to nahīñ
#ishq شعر
ham ne kitne dhoke meñ sab jīvan kī barbādī kī
gaal pe ik til dekh ke un ke saare jism se shādī kī
#ishq شعر
Hue ittifaq se gar baham to wafa jatane ko dam-ba-dam
Gila-e-malamat-e-aqriba tumhein yaad ho ki na yaad ho
#ishq شعر
hairaaN thaa ki dil meraa kahaaN jaa ke chhupaa hai
jugnuu kii tarah yaar kii dastaar meN chamkaa
#ishq شعر
ham un ke sitam ko bhi karam jaan rahe hain
aur wo hain ki is par bhi bura maan rahe hain
#ishq شعر
ham jis ke ho gae wo hamara na ho saka
yun bhi hua hisab barabar kabhi kabhi
#ishq شعر
hum ne aalam se bewafai ki
ek mashuq-e-bewafa ke liye
#ishq شعر
hamesha mujh se vo kahtā thā mar kahīñ 'hasrat'
hazār shukr pazīrā.ī huī duā-e-habīb
#ishq شعر
uno āvīñ to parde se ghaṛī bhar bhār baiṭhūñgī
bahānā kar ke motiyāñ ke parote hār baiṭhūñgī
#ishq شعر
Kyun hijr ke shikwe karta hai, kyun dard ke rone rota hai
Ab ishq kiya to sabr bhi kar, is mein to yahi kuchh hota hai
Showing 15 of 23 on this page • Scroll or click for more
Showing 1 to 23 of 23 items