شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Theme: #ishq × Letter: M ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#ishq شعر
Tum mere paas hote ho goya
Jab koi doosra nahin hota
#ishq شعر
Un ke dekhe se jo aa jaati hai munh par raunaq
Woh samajhte hain ke beemar ka haal achha hai
#ishq شعر
maiñ us ke va.ade kā ab bhī yaqīn kartā huuñ
hazār baar jise aazmā liyā maiñ ne
#ishq شعر
mohabbat karne vaale kam na hoñge
tirī mahfil meñ lekin ham na hoñge
#ishq شعر
mohabbat ne 'mā.il' kiyā har kisī ko
kisī par kisī ko kisī par kisī ko
#ishq شعر
miTTī ḳharāb hai tire kūche meñ varna ham
ab tak to jis zamīñ pe rahe āsmāñ rahe
#ishq شعر
mujh ko auroñ se kuchh nahīñ hai kaam
tujh se har dam umīd-vārī hai
#ishq شعر
aaj kyā jaane vo kyuuñ ārām-e-jāñ aayā nahīñ
harf-e-ranjish kal to koī darmiyāñ aayā nahīñ
#ishq شعر
chaman meñ shab ko ghirā abr-e-nau-bahār rahā
huzūr aap kā kyā kyā na intizār rahā
#ishq شعر
gesū ruḳh par havā se hilte haiñ
chaliye ab donoñ vaqt milte haiñ
#ishq شعر
Aise aahoo-e-ram-khurda ki wahshat khoni mushkil thi
Sehr kiya ejaaz kiya jin logon ne tujh ko raam kiya
#ishq شعر
Saad-e-seemeen donon us ke haath mein la kar chhod diye
Bhoole us ke qaul-o-qasam par haaye khayaal-e-khaam kiya
#ishq شعر
Subh chaman mein us ko kahin takleef hawa le aayi thi
Rukh se gul ko mol liya qaamat se sarv ghulaam kiya
#ishq شعر
Kaash ab burqa munh se utha de warna phir kya haasil
Aankh munde par un lage to deedaar ko apne aam kiya
#ishq شعر
Sarzad hum se be-adabi to wahshat mein bhi kam hi hui
Koson us ki or gaye par sajda har gaam kiya
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 1 to 50 of 80 items