شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Letter: G ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 39 Couplets available
#husn شعر
gulābī gaal par kuchh rañg mujh ko bhī jamāne do
manāne do mujhe bhī jān-e-man tyauhār holī meñ
#ishq شعر
guṛ sīñ mīṭhā hai bosa tujh lab kā
is jalebī meñ qand o shakkar hai
#zindagi شعر
ga.e jo aish ke din maiñ shabāb kyā kartā
lagā ke jaan ko apnī azaab kyā kartā
#ishq شعر
gesū ruḳh par havā se hilte haiñ
chaliye ab donoñ vaqt milte haiñ
#dard شعر
Gai yak-ba-yak jo hawa palat nahin dil ko mere qaraar hai / Karun is sitam ka main kya bayaan mera gham se seena figaar hai
#hijr شعر
ghar ghair ke jo yaar miraa raat se gayaa
jii siine se nikal gayaa dil haat se gayaa
#ishq شعر
ai dil-ārām maiñ jidhar jā'ūñ
dil koñ terīch pās dhar jā'ūñ
#zindagi شعر
jikoī irfān ke sāhib sachche haiñ sokte haiñ yūñ
ki yāñ to koī na'īñ dastā ghawwāsī ke qarīne kā
#sharab شعر
pilā mad-mast ai sāqī ki munj ādat hai pīne kā
ho sar-khush daur yak-dharte karūñ gā zang sīne kā
#hijr شعر
ġhairoñ se to fursat tumheñ din raat nahīñ hai
haañ mere liye vaqt-e-mulāqāt nahīñ hai
#dard شعر
Ghabra na Mir ishq mein is sahl zeest par
Jab bas chala na kuchh to mere yaar mar gaye
#ishq شعر
Sar khol ke, kaafir! na naha nahr ke upar
In baaton se aavegi bala shahr ke upar
#tasawwuf شعر
Kaafir mujhe na kahiyo ai mominaan-e-saadiq!
Karta hoon but ko sajda main to Khuda samajh kar
#dard شعر
Sham'a-e-shab-e-firaaq bane hum to Mushafi
Hum dil-jalon ko aish ki mehfil se kya khabar
#tasawwuf شعر
Poochho na ja ke Shaikh se yeh mas'ala koi
Us be-tameez ko haq o baatil se kya khabar
Showing 15 of 39 on this page • Scroll or click for more
Showing 1 to 39 of 39 items