شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Letter: N ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 28 Couplets available
#dard شعر
na pahuñchā gosh tak ik tere haihāt
hazāroñ naala niklā is dahan se
#husn شعر
nādān kah rahe haiñ jise āftāb-e-hashr
zarra hai us ke rū-e-daraḳhshāñ ke sāmne
#zindagi شعر
nahīñ duniyā meñ āzādī kisī ko
hai din meñ shams aur shab ko qamar band
#ishq شعر
na maiñ samjhā na aap aa.e kahīñ se
pasīna pochhiye apnī jabīñ se
#tasawwuf شعر
na kar ai 'lutf' nāhaq rahravān-e-dair se hujjat
yahī rasta to khā kar pher hai ka.abe ko jā niklā
#dard شعر
Na wabaal tan pe hai sar mera, nahin jaan jaane ka dar zara / Kate gham hi likhe jo dam mera, mujhe apni zindagi baar hai
#dard شعر
Na tha shahr-e-Dilli, ye tha chaman, kaho kis tarah ka tha yaan aman / Jo khitaab tha wo mita diya faqat ab to ujda dayaar hai
#tasawwuf شعر
Naahaq hum majbooron par yeh tohmat ho mukhtaari ki
Chaahte hain so aap karen hain hum ko abas badnaam kiya
#tasawwuf شعر
nuur thaa yaa sho.ala thaa yaa barq yaa KHurshiid thaa
kuchh to ai muusaa kaho kyaa thaa vo jalva tuur kaa
#tasawwuf شعر
Na chhod ai Mushafi tu aastaan-e-hazrat-e-dil ko
Sab us sarkaar se paate hain khil'at sarfaraazi ka
#ishq شعر
Na mehr o lutf, ne gaahe nigaah aur ne kabhi milna
Bayaan kya kijiye Allah teri be-niyaazi ka!
#dard شعر
Nahin bachta hai bimar-e-mohabbat
Suna hai hum ne 'Goya' ki zabani
#ishq شعر
Na hoga koi mujh sa mahw-e-tasawwur
Jise dekhta hun samajhta hun tu hai
#ishq شعر
nahiin chaltaa har kuchh apnaa to tere ishq ke aage
hamaare dil pe koii aur to dar ho nahiin saktaa
#zindagi شعر
naseh yahan ye fikr hai sina bhi chaak ho
hai fikr-e-bakhiya tujh ko gareban ke chaak mein
Showing 15 of 28 on this page • Scroll or click for more
Showing 1 to 28 of 28 items