شعر
2-Line Urdu Poetry • منتخب اشعار • दो-लाइन शायरी

Masterpiece Couplets (منتخب اشعار)

Discover the finest 2-line Urdu poetry curated across emotions, life philosophy, romance, and mystical contemplation.

Active Filters: Letter: K ×
Reset All
A-Z: All A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z
Explore by Theme 50 Couplets available
#dard شعر
Kitna hai bad-naseeb Zafar dafn ke liye
Do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar mein
#ishq شعر
kahaa jab main teraa bosaa to jaise qand ho pyaare
lagaa tab kehne par qand mukarrar ho nahiin saktaa
#dard شعر
kyā yahī thī shart kuchh insāf kī ai tund-ḳhū
jo bhalā ho aap se us se burā.ī kījiye
#tasawwuf شعر
kufr ek rañg-e-qudrat-e-be-intihā meñ hai
jis but ko dekhtā huuñ vo yād-e-ḳhudā meñ hai
#inqilab شعر
kabhī to shahīdoñ kī qabroñ pe aao
ye sab ghar tumhāre basā.e hue haiñ
#khudi شعر
kuchh ḳhabar hotī to maiñ apnī ḳhabar kyuuñ rakhtā
ye bhī ik be-ḳhabarī thī ki ḳhabar-dār rahā
#dard شعر
kis ko bahlāte ho shīshe kā gulū TuuT gayā
ḳhum mire muñh se lagā do jo subū TuuT gayā
#tasawwuf شعر
Kya hai gham 'Zafar' tujhe hashr ka, jo Khuda ne chaaha to barmala / Hamen hai waseela Rasool ka, wo hamaara haami-kaar hai
#dard شعر
Kaam hue hain saare zaaye har saaat ki jeet se
Istighna ki chauguni un ne joon joon jaan mein ibraam kiya
#ishq شعر
Kaash ab burqa munh se utha de warna phir kya haasil
Aankh munde par un lage to deedaar ko apne aam kiya
#tasawwuf شعر
Kis ka Kaaba kaisa qibla kaun haram ho kya ahraam
Kooche ke us ke baashindon ne sab ko yaheen se salaam kiya
#ishq شعر
Khabar-e-naaz ne kya chaat lagaai dil ko
chaatta hont hai le le ke jaraahat ke maze
#ishq شعر
Kuchh bataaun jo mohabbat to gile hai ke mujhe
dekh to kaise chakhaata hoon mohabbat ke maze
#ishq شعر
Khaaye kooche mein tere aa ke jo sang-e-tiflaan
aaye Majnoon ko tere mewa-e-jannat ke maze
#tasawwuf شعر
ḳhudā se tirā chāhnā chāhtā huuñ
merā chāhnā dekh kyā chāhtā huuñ
Showing 15 of 50 on this page • Scroll or click for more
Showing 1 to 50 of 74 items